Monday, July 9, 2007

SUKUN

Agar tum kabhi….
Us Taraf aana……
Mere ghar zarur aana !!

Kyariyo me apne bagh ki,
Bahut sare khwab boye hai maine…
Aakar Tum apni neend de jana!!!

Kamre me humari…
Wo hi purani batein ….
Bikhri padi hai!!!
Aakar tum sahej jana!

Mera Sukoon tum
Apni ruh ke sath
shayad galti se le gayi ho!!
Agar kabhi tum us taraf aana…
Mera wo sukoon lauta jana!!!

1 comment:

Unknown said...

it is really a good expression! i liked it too much, it touched my heart